Sunday, March 29, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 209 - Namaaz ke makroohat e tehreemiyah kya hai?

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Namaaz ke makroohat e tehreemiyah kya hai.? yeh kaam agar namaaz mein kiye to namaaz phirse padhni hogi.

 Jaandar ki tasweer wala kapda pehne huwe hai aur uspar doosra kapda pahen liya ke tasweer chup gayi to namaaz ho jayegi.
Jiss jagah sajda kiya us jagah farsh par agar tasweer bani hai ya musalle ya carpet kaleen par chapi huwi hai aur tasweer ki jagah par sajda ho raha ho to bhi namaaz makrooh e tehreemi hogi.
 Agar jaandar ki tasweer farsh par zillat ki jagah ho jaise jootiyan utarne ki jagah ho aur log uspar chalte ho aur pairon se rondte ho to namaaz makrooh nahi lekin yeh kw sajda tasweer par na ho.
 Muqtadi ne jamaat mein shamil hone ki jaldi mein saf ke piche hi 'Allahu Akbar' keh kar fir saf mein daakhil huwa to namaaz uski makrooh e tehreemi huwi phirse padhe.


KHUDA KI RAAH MEIN
SAR KO KATA DIYA TUMNE
NABI ﷺ KE DEEN PE
GHAR KO LUTA DIYA TUMNE
NISHAAN E KUFR KO
YAKSAR MITA DIYA TUMNE
HUSSAIN رضي الله عنه TUMKO ZAMANA SALAM KEHTA HAI
 


0 comments:

Post a Comment