Sunday, March 29, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 212 Namaaz ke makroohat e tehreemiyah kya hai?

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


  Namaaz ke makroohat e tehreemiyah kya hai.? yeh kaam agar namaaz mein kiye to namaaz phirse padhni hogi.

 Sone chandi ke siwa lohe, pital, tambe, raang, wagaira ka zewar pehenna aurat ko bhi mubaah nahi to mard ke liye kaise jaaiz ho sakta hai agar in cheezon ke zewar pehen kar aurat ya mard ne namaaz padhi to makrooh e tehreemi hogi.
     # Fatawa e Razviya Shareef, Jild 9 juzz awwal, Safah 14, Jild 3 Safah 422.
 Jamaat se namaaz padhte waqt imam ke barabar teen muqtadiyo ke khade hone se imam muqtadi sabki namaaz makrooh e tehreemi hogi.
      # Fatawa e Razviya Shareef, Jild 3, Safah 323.
 Fuqha e kiram ne kaafir ki zameen mein namaaz padhne se mana farmaya hai, musalmaan ki zameen mein uski ijaazat ke bagair padhle magar kaafir ki zameen se bachein aur agar musalmaan ki zameen mein kheti,fasal, hai to nahi padh sakta to raaste mein padhe kaafir ki zameen mein na padhe. agarche raaste mein padhna makrooh hai magar yeh karaahat kafir ki zameen mein padhne ki karaahat se kamtar hai.
    # Fatawa e Razviya Shareef, Jild 6, Safah 18.

0 comments:

Post a Comment