Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 209 - Hazrat e Muslim Ki Shahadat

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Muslim Ki Shahadat.

Kufiyon ki be himmati aur naamardi aur be gairati ke Hazrat Muslim tanha ho gaye aur kidhar jaye kaha raat guzare kufaa me 2 se 4 gaz zameen aap ke liye nazar na aayi.
Aapko Imame Hussain ki yaad ne tadpa diya ke maine Imaam ko khat likh diya hai aur kufiyon ne saath chod diya. Na jaane ye zaalim Imame Hussain ke sath kya suluk karenge.

Yaqeenan Imaam khat ko padh kar yahan aane ki tayyaari kar rahe hoge.

Yahi sochte sochte ek andheri gali se guzar rahe the aur dekh rahe the ke saare darwaaze band hai ek jagah dekha ke ek aurat apne darwaaze par bethi nazar aayi jiska naam taw'aa tha aur apne bete ka intezaar kar rahi thi.
Aapne usse pani maanga uss nek aurat ne aapko pani pilaya jab woh glass rakh kar waapas hui to aapko khade dekh kar pucha aap abhi tak gaye nahi.
Aapne apna haale zaar sunaya aur panah maangi aur bataya ke Mai Muslim bin Aqiil hu
Sunkar foran aapko apne ghar me le gayi aur ek kamre mai aap ko thera diya.
Raat ko jab uska ladka aaya toh usne apne ladke ko sara haal bata kar rok diya ke kisi ko batana mat ladka sharabi aur aawaara tha.

Subha usne hukumat ke logo tak yeh khabar dedi ke Muslim mere ghar par hai.
Foj ne uss ghar ka muhaasra kar liya gher liya aur andar daakhil ho gayi Aapne muqabla kiya aur fojiyon ko bahar nikalne par majboor kar diya.

Aapki bahaduri dekh kar woh log chat par chadh gaye aur aap par patthar aur aag phekne lage jab aapne ye buzdilaana andaaz dekha toh baahar nikal kar jo baahar the un fojiyon se ladne lage to aapse kaha gaya ke hum aapko amaan dete hai (mtlb hathiyaar phek do aapko hum jaanse maarenge nahi) uss daur ke logo mai amaan dekar kabhi koi apni zabaan ke khilaaf nahi karta tha.

Aapne muqabla chodh kar apne aap ko un ke hawale kar diya.
Raaste mai Aapki talwar dhoke se chiin li gayi.
Aap maayus ho gaye ke kaash inki zabaan par bharosa na kiya hota.

Aap ro pade toh aapko tanz kiya gaya ke ab rote ho. Farmaya
Mai apni jaan ke liye nahi bal ke Imaame Hussain ke liye ro raha hu aur unki aulaad ke liye ro raha hun ke unko khat likh kar bula chuka hun.

Aapke aur ibne ziyaad ke beech mai mukaalma huwa uss kamine ne aap par ilzaam lagaya kr aap ki wajah se kufa ka amn kharaab huwa Aapne farmaya
Meri wajah se nahi bal ke yaziid ki badkariyon ki wajah se huwa
kufa ke rehne walo ne yaziid ki badkariyon se aajiz aakar humko bulaya aur ab dhoka dediya.
Ibne ziyaad bad nihaad ne Aapki yeh bebaaki dekhi toh bhadak gaya aur jallaad ko hukm diya ke chat par inhe le jao aur inki gardan utaar kar jism aur sar dono ko niche phenk do ke haddiyon ka bhi churma ho jaye.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Tareekh e Tibri.
# Sawaanahe Karbala
 

MUHARRAM KE ROZE MEIÑ
CHUPA HAI KUCH KHAAS
RAKHLO ROZA AUR YAAD KARO
SHAHEED E KARBALA KI PYAAS
 

0 comments:

Post a Comment