Monday, April 6, 2015

Bahar e Shari'at 339 - Maut Ke baad Ka Bayan

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Insan ke marne ke baad bhi rooh ka rishta insan ke jism ke saath baaki rehta hai rooh agarche jism se alag ho gayi magar jism par jo bitegi wo rooh ko pata hoga aur rooh par uska asar zaroor padega.
▶ Insan jab apni duniya ki zindagi thanda paani, hawa, narm bistar ya aaram dene wali sawariya apne istemal mein laata hai to in cheezo ka asar jism par padta hai magar rahat aur aaram rooh ko milti hai aise hi jab insan garm paani, garm hawa, sakht bistar, aur takleef dene wali sawariya istemal karta hai to uska asar ba-zaahir insan ke jism par padta hai lekin takleef rooh ko hoti hai.
▶ Marne ke baad musalman ki rooh apne apne darjoñ ke mutabik alag alag jagahoñ par rehti hai kuch ki qabr par, kuch ki zamzam shareef mein, kuch ki aasman aur zameen ke beech mein, kuch ki pehle aasman se saatve aasman tak kuch ki aasmano se aala iliyyeen mein rehti hai magar ye rooh jaha kahi bhi rahe inka apne jism se rishta ussi tarah barqarar rehta hai jo log unki qabr par jaate hai unko wo pehchante hai aur unki baate sunte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment