Friday, April 3, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 247 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Qaza namaaz ek din ki 20 rakat hoti hai.
2 fajr ki farz
4 zohr ki farz
4 asr ki farz
3 magribh ki farz
4 isha ki farz
3 witar waajib.
▶ Qaza namaaz ki niyat is tarah karni hai, 'Sabse pehli fajr jo mujhse qaza huwi usko ada karta/karti hu' Har namaaz mein isi tarah niyyat kare.
▶ Abh jis par kayi saalon ki namaaz qaza hai woh aasaani ke liye niche bataye huwe tareeke se ada kare to bhi jaaiz hai.
▶ Har ruku mein ruku ki tasbeeh teen (3) baar padhne ke bajaye ek (1) baar hi padhe.
▶ Har sajde mein sajde ki tasbeeh teen (3) ba!r padhne ke bajay ek (1) baar hi padhe.
▶ Farz namaazon ki teesri aur chauthi rakat mein Surah Fatiha ke badle sirf teen (3) baar SubhanAllah keh kar ruku mein chala jaaye.
▶ Magar witr ki teeno rakat mein Surah Fatiha aur doosri aayat mila kar zaroor padhe.
▶ Aakhri rakat mein jabh baithte  hai usme attahiyyaat ke baad darood aur dua ke badle sirf 'Allahumma salliala muhammadiw waalihi' Keh kar salaam phair dein.
▶ Witr ki teesri rakat mein dua e qunoot ke badle takbeer keh kar sirf ek (1) ya teen (3) baar 'Rabbegh firli' padhein aur ruku karle.
      # Mulakkhas az Fatawa e Razviya Shareef Jild 8 Safah 158 (Lahore)

SubhanAllah Kitni aasaani hai.

⏩ Kuch khaas baaton ka khaas khayal rakhey.
▶ Ruku mein poora pahuch jaye fir hi tasbeeh shuru karey. Aisa na ho qiyam mein hi tasbeeh shuru karde aur ruku mein pahuche tabh tak tasbeeh puri ho jaye.
▶ Issi tarah sajde mein jaate aur uthte waqt bhi khyaal rahe ke poori tasbeeh peshaani aur naak jamne ki haalat mein padhe warna sajda ada hi na hoga.
 

0 comments:

Post a Comment