Sunday, May 31, 2015

#407 Shaan e Imaam e Azam رضي الله عنه7

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hazrat Imaam e Aazam رضي الله عنه ke zamane mein ek shakhs apna kuch maal zameen mein dafn karke bhool gaya Imaam e Aazam ki khidmat mein haazir huwa aur waqiya arz kiya Hazrat e Imaam e Aazam ne farmaya:
Jao aaj tum saari raat namaaz padhte raho, tumhe yaad aajaaega ke maal tumne kaha dabaya hai chunanche woh shakhs gaya aur raat ko usne namaaz padhna shuru kar diya
.!
Abhi chand raka'at hi padhi thi ke usse yaad aagaya ke maal kaha dabaya hai wo khush hogaya. Subah Imaam Sahab ki khidmat mein haazir huwa aur kehne laga Huzoor aapne yeh tadbir kaise irshad farmaayi, Farmaya: mujhe malum tha ke shaitaan tujhe raat bhar namaaz na padhne dega aur tujhe tera maal yaad dila dega taaki tu namaaz chhor de, afsos ke tune shukriya mein raat bhar namaaz kyu na padhi ?
#Jawahirul Bayaan Safah No 66.
Sabak : insaan mushkil ke waqt khuda ko yaad karne lagta hai magar mushkil tal jaane ke baad phir wahi bedhangi chaal ikhteyaar kar leta hai
Yeh baat badi afsosnaak hai.
 

0 comments:

Post a Comment