بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrat Imaam e Aazam رضي الله عنه har raat 300 raka'at nafl namaz parha
karte the. ek din Aap kahi ja rahe the ki raaste mein ek shakhs ne doosre
shakhs se kaha ke ye woh Imaam hai jo har raat 500 raka'at nafl namaz parhte
hai Imaam e Aazam رضي الله عنه ne
yeh baat suni to ussi waqt niyyat karli ke aaj se 500 raka'at nafl namaz
parhunga taaki uska guman sahi ho jaye.
Ek din aap ke shagirdo ne kaha ki log
kehte hai aap saari raat ibadat karte hai sote bhi nahi. Aapne farmaya abh Maiٌ
aisa hi karunga saari saari raat ibadat karunga.
Iske baad Aapne musalsal 40 saal Isha ki
wazu se Fajr ki namaz parhi, Aapka jis jagah wisaal huwa waha Aapne 7000
martaba Quraan e Pak muqammal tilawat farmaya tha.
SubhanAllah SubhanAllah
# Tazkiratul Auliya Safah no.246
Sabak : Hamare Imaam e Aazam رضي الله عنه Allah Rabbul Izaat ki badi ibadat karne
wale aur Allah Rabbul Izzat ke maqbul wa muqarrib(dost) bande the.
0 comments:
Post a Comment