Sunday, May 31, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 409

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 94
 

Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
Tum Farmao agar pichhla ghar Allah Ke nazdeek khaalis tumhare liye ho na auroٌ ke liye to bhala maut ki aarzoo to karo agar sacche ho.

Tafseer
Yahood ke baatil daawoٌ mein se ek ye daawa tha ki Jannat khaas unhi ke liye hai iska Radd farmaya jaata hai ki agar tumhare Jo’am mein Jannat tumhare liye khaas hai aur aakhirat ki taraf se tumhe itminaan hai Aamaal ki haajat nahi to Jannati Ne’amato ke muqabla mein duniyawi masayib kyuٌ bardasht karte ho maut ki tamanna karo ki tumhare daawa ki bina par tumhare liye baaeese raahat hai agar tumne maut ki tamanna na ki to ye tumhare kizb ki daleel hogi Hadees Shareef mein hai ki agar woh maut ki tamanna karte to sab halaak ho jaate aur Roo e Zameen par koi yahoodi baaki na rehta.
Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
fb.me/kanzul.imaan.group

 

0 comments:

Post a Comment