Sunday, March 27, 2016

Habeeb e Khuda MuhammeduRasoolAllah ﷺke Mo'ajizat #623

Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat #623.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Ek baar Huzoor ﷺ ek ansari ke baagh meiñ tashrif le gaye waha ek oonth chilla raha tha jab usne Huzoor ﷺ ko dekha toh ekdam se bilbilane laga aur uski dono aankhoñ se aansu jaari ho gaye.
▶Sarkar ﷺ ne paas jakar apna daste shafkat uske sar par fera toh woh tasalli pakar bilkul khamosh ho gaya fir Huzoor ﷺ ne logo se daryaft kiya ke iska malik kaun hai ?
▶Logo ne ek ansari ka naam bataya fouran usse bulaya gaya aur Huzoor ﷺ ne farmaya Allah ﷻ
ne in janvaro ko tumhare qabze meiñ dekar inko tumhara mehkum bana diya hai lihaza tum par lazeem hai ke tum janvar par rahem karo tumhare oonth ne mujse tumhari shikayat ki hai ke tum ise bhookha rakhte ho aur iski taakat se zyada isse kaam lekar isko taklif dete ho.

# Abu Dawood shareef
Jild 1, Safah 352

#Apne Maula ki hai bas shaane azeem,
Janwar bhi kareiñ jinki ta'azeem,
Sang karte haiñ adab se tasleem,
Ped sajde meiñ gira karte haiñ

~ Aala Hazrat رضي الله عنه

0 comments:

Post a Comment