ZAMEEN PAR WO MOHAMMED ﷺ HAIN WO AHMED AASMANOÑ MEIÑ
YAHA BHI UNKA CHARCHA HAI WAHA BHI UNKI MIDHAT HAI
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hadees e Mubaraka #619.
11 Rabi Un Noor 1437 Hijri.
Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Maiñ woh cheezein dekhta hu jo tum nahi dekhte aur woh aawazeiñ sunta hu jo tum nahi sunte, phir farmate haiñ aasmaan charchara raha hai aur usko charcharaana chaahiye isliye ke usmein kahi chaar angusht ke barabar bhi aisi jagah nahi ke jahañ Farishte Sajde mein naa ho.
#Tirmizi Shareef.
0 comments:
Post a Comment