Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #615.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Contd. Post # 613 & 614.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 275
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur uska kaam Khuda ke Supurd hai.
5⃣ Aur jo abh aisi harkat karega to woh dozakhi hai woh usme muddatoñ raheñge.
▶ Tafseer
4⃣ Jo chahe amar farmaye jo chaahe mamnu'u wa haraam kare band par uski ita'at laazim hai.
5⃣ Masla – jo Sood ko Halaal jaane woh Kaafir hai hamesha jahannam mein rahega kyuki ek haraam e qatayi ko halaal janne wala kaafir hai.
0 comments:
Post a Comment