Friday, March 25, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #614

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #614.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 275
Contd Post No #613.


▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Qiyamat ke din na khade honge, magar jaise khada hota hai woh jisse aaseb ne chhu kar makhbut bana diya ho.
3⃣ Yeh isliye ki unhone kaha Bai'a bhi to sood hi ke manind hai aur Allah ne halal kiya Bai'a aur haraam kiya sood, to jise uske Rab ke paas se nasihat aayi aur woh baaz raha to use halal hai jo pehle le chuka.

▶ Tafseer
2⃣ Maana ye hai ki jis tarah aaseb-zada seeda khada nahi ho sakta girta padta chalta hai qiyamat ke roz sood khwar ka aisa hi haal hoga ki sood se uska peit bahot bhaari aur bojal ho jayega aur woh uske bojh se gir padega Saeed bin Zubair رضي الله عنه ne farmaya ki yeh alaamat us sood khwaar ki hai jo sood ko halaal jaane.
3⃣ Yaani hurmat naazil hone se qabl jo liya us par muwakhaza nahi.

0 comments:

Post a Comment