Saturday, March 26, 2016

Tarjuma e kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #619

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 619.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 281

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur daro us din se jis mein Allah ki taraf phiroge aur har jaan ko uski kamayi poori bhar di jaaegi aur unpar zulm na hoga.

▶ Tafseer
▶ Yaani na unki nekiya ghatayi jaaya na badiya badhayi jaaye Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه se marwi hai ki yeh sabse aakhir Aayat hai jo Huzoor ﷺ par naazil huwi iske baad Huzoor e Aqdasﷺ 21 Roz duniya mein tashreef farma rahe aur ek qaul mein 9 shab aur ek mein 7 lekin sho'abi ne Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه se yeh riwayat ki hai ki sabse Aakhir Aayat Riba naazil huwi.

0 comments:

Post a Comment