Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 622.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Contd. Post # 621.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 282
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur likhne wala likhne se inkaar na kare jaisa ki Allah ne sikhaya.
5⃣ To use likh dena chahiye aur jis par haq aata hai woh likhata jaaye aur Allah se dare jo uska Rab hai aur haq mein se kuch rakh na chhorde, phir jis par haq aata hai agar be aql ya natawaan ho ya likhaa na sake.
6⃣ To uska wali insaf se likhaye aur do gawah kar lo apne mardo mien se.
▶ Tafseer
4⃣ Haasile maana ye hai ki koi qaatib likhne se mana na kare jaisa ki Allah Ta'ala ne usko waseeqa nawesi ka ilm diya be tagahhar wa tabdil diyanat wa amanat ke saath likhe ye qitabat ek qaul par farz kifaya hai aur ek qaul par farze ain basaharte farag qaatib jis surat mein iske siwa aur na paata jaaye aur ek qaul par mustahab kyuki isme musalman ki haajat bar aari aur ne'mate ilm ka shukr hai aur ek qaul ye hai ki pehle ye qitabat farz thi phir "laa yezarru qitabun" se mansukh huwi
5⃣ Yaani agar madyun wa majnun wa naqisul aql ya baccha ya shaikhe faani gunga hone ya zabaan na janne ki wajah se apne mudda'a ka bayan na kar sakta ho.
6⃣ Gawah ke liye hurriyat wa buloog ma'a Islam shart hai kuffar ki gawahi sirf kuffar par maqbool hai.
〰〰 to be contd.
0 comments:
Post a Comment