Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #621
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 282
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waloñ jabh tum ek muqarrar muddat tak kisi dena ka lein-dein karo.
2⃣ To usse likh lo.
3⃣ Aur chahiye ki tumhare darmiyañ koi likhne wala thik thak likhe.
▶ Tafseer
1⃣ khwaah woh dein mabee ho ya saman Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya ki isse bai'a salam muraad hai bai'a salam yeh hai ki kisi cheez ko peshgi kimat lekar farokht kiya jaaye aur sabe'e mushtari ko supurd karne ke liye ek muddat mu'ayyan kar li jaaye us bai'a ke jawaaz ke liye jins, nau, sifat, miqdar, muddat aur makaan adaa aur miqdare raasulmaal in cheezo ka malum hona shart hai.
2⃣ Yeh likhna mustahab hai fayeda iska yeh hai ki bhul chuk aur madyun ke inkaar ka andesha nahi rehta.
3⃣ Apni taraf se koi kami beshi na kare na fariqain mein se kisi ki roo riaayat
〰〰 to be contd.
0 comments:
Post a Comment