Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #613.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 275
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Woh jo khud sood khaate hai.
▶ Tafseer
1⃣ Is Aayat mein sood ki hurmat aur sood khwaro ki shaamat ka bayan hai sood ko haraam farmane mein bahot hikmateiñ hai baaz unmein se yeh hai ki sood mein jo zyadati li jaati hai woh muaawaza maaliya mein ek miqdaar maal ka baghair badal wa aiwaz ke lena hai yeh sareeh naa insaafi hai dom sood ka riwaj tijarato ko kharab karta hai ki sood khwar ko be mehnat maal ka haasil hona tijarat ki mashakkato aur khatro se kahi zyada aasan maloom hota hai aur tijarato ki kami insaani mu'aash'sharat ko zarar pahuchati hai Som sood ke riwaj se bahami mabaddat ke sulook ko nuksaan pahuchata hai ki jabh aadmi sood ka aadi huwa to wo kisi ko karz Hasan se imdad pahuchana gawara nahi karta, Charaum sood se insan ki tabiyat mein darindo se zyada be rehmi paida hoti hai aur Sood khwar apne madyun ki tabahi wa barbadi ka khwahishmand rehta hai iske ilawa bhi sood mein aur bade bade nuksaan hai aur Shariat ki mumana'at aine hikmat hai Muslim shareef ki hadees mein hai ki Rasool e Kareem ﷺ ne sood khwar aur uske kaarpardaz aur soodi dastawez ke kaarib aur uske gawaho par laanat ki aur farmaya woh sabh gunah mein barabar hai.
〰〰 to be contd.
0 comments:
Post a Comment