Thursday, March 24, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #611

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #611.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 609 & 610
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 272 & 273.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Naadan unhe tawangar samjhe bachne ke sabab.
6⃣ Tu unhein unki soorat mein pehchaan lega logoñ se sawal nahi karte ki gidgidana pade aur tum jo khairat karo Allah use jaanta hai.

▶ Tafseer
5⃣ Yaani chunki woh kisi se sawal nahi karte isliye nawakif log unhe maaldaar khayal karte hai.
6⃣ Ki mijaaz mein tawaze'a wa inqesaar hai chehro par zauf ke aasar hai bhool se rang zard padh gaye hai.

0 comments:

Post a Comment