Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #686.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Dil ki Khwahish ko Jaanna aur Poora karna.
Shaikh Abul Hasan Sa'ad Undalsi رحمة الله عليه ka bayan hai ki maiñ ek baar jabh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ke waaz (Taqreer) ki majlees mein haazir huwa to Aap johad ke baare mein bayan farma rahe the mere dil mein khwaish paida huwi ki Aap maarifat ke baare mein bayan farmaye tabh Aapne johad par bayan khatm kiya aur maarifat par bayan farmane lage ki aisa bayan maiñe kabhi na suna tha phir maiñe dil mein socha ki kya hi accha hota ki Aap shauk ke baare mein bayan farmaye tabh Aapne shauk ka bayan shuru kar diya ki maiñe aisa kalaam kabhi na suna tha phir maiñe dil mein khwaish ki Fanaa wa Baqaa par Aap bayan farmaye tabh Aapne Fanaa wa Baqaa ke baare mein bayan kiya phir maiñe dil mein khwaish ki Aap Gaibubiat aur Huzoori ke baare mein bayan farmaye tabh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne farmaya ki Aye Abul Hasan! Tujhko yahi kaafi hai is par maiñ wajd mein aa gaya.
#Bahjatul Asraar, Safah 276.
▶ Tashreeh - Is karamat se Aap ke wasee Ilme Gaib ka pata chalta hai ki kis tarah kisi ke khayaalat par Aap aagahi rakhte hai aur kisi ke dil mein jo khwaish paida hoti hai usse poori farmate hai aur ye Ilm aur tasarruf ka kamal hai.
Kahe kis se jaakar Hasan apne dil ki,
Suney kaun tere siwaa Gaus e Aazam.
0 comments:
Post a Comment