بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Musalmaanon! Jiski jurrat yahan tak pahonchi ke RASOOLALLAH ﷺ ke ilm-e- Gaib ko paagalon aur jaanwaron ke ilm se mila de aur Imaan o Islam o insaaniyat sab se aankhein band karke saaf keh de ke NABI aur jaanwar mein kya farq hai, Is se kya ta'ajjub ke KHUDA ke kalaamon ko radd kare, baatil bataaye, pas-e-pusht daale, zer-e-paa male balke jo yeh sab kuch kalaamullaah ke saath kar chuka wohi RASOOLALLAH ﷺ ke saath is gaali par jurrat kar sakega.
Jo kalma apne Ulema ke waaste tauheen ka wohi kalma NABI ke liye tauheen ka kyun nahi?
Magar haan is se daryaaft karo ke aap ki yeh taqreer khud aap aur aap ke asaatezah mein jaari hai ya nahi?
Agar nahi to kyun?
Aur agar hai to kya jawab?
Haan un ‘gustaakhon’ se kaho!
Kya aap hazraat apni taqreer ke taur par jo aap ne MUHAMMAD RASOOLALLAH ﷺ ki shaan mein jaari ki, khud apne aap se is daryaaft ki ijaazat de sakte hain ke aap saahibon ko aalim faazil maulvi mulla chunee chunaan fulaan fulaan kyun kaha jata hai?
Aur haiwaanaat o bahayem maslan kutte suwwar ko koi in alfaaz se taabeer nahi karta?
In manaasib ke ba’as aap ke atbaa wa aznaab aap ki taazeem takreem tauqeer kyun karte, dast o pa par bosa kyun detey hain?
Aur jaanwaron maslan ullu, gadhe ke saath koi yeh bartau nahi baratta?
Is ki wajah kya hai?
To Be Contd...

0 comments:
Post a Comment