Thursday, March 19, 2015

Safar e Harmain Shareefain 67

SHARE
Safar e Harmain Shareefain #67.
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


(Masjide Haram Ki Pehli Haazri)

Jab Aap Makka e Mo'azzama Me Pahuch Jaayeñ To Apni Tamaam Zaroriyat Se Farig Ho Jaayeñ Aur Wazu Karke Masjide Haram Ki Taraf Rawana Ho Jaayeñ Is Yakeen Ke Saath Ke Aap ALLAH Paak Ki Bargaah Me Haazir Hone Jaa Rahe Hai Jo Aap Ke Tamaam Gunaaho Se BaKhabar Hai.
Aap Zikre Khuda wa Nabi Karte Huwe Aur Apne Aur Tamaam Musalmaanoñ Ke Liyee Duaen Karte Huwe Aur Labbaik Kehte Huwe Masjide Haraam Tak Pohchen Afzal Yeh Hai Ke Aap Haram Shareef Mein Babus (Door) Salaam Se Dakhil Ho Yeh (Door) Safah Aur Marwah Ke Darmiyaan Darwazoñ Me Se 1 Hai Aur Yeh Sunnat Hai.

(Twaaf Ke Ahkaam)

Aap Jab Masjidul Haraam Me Dakhil Ho Aur Agar Kisi Namaaz Ka Waqt Ho Aap Usse Farig Hojaage Aur Phir Tawaaf Ke Liye Tayyar Ho Jaayeñ.
Tafaaz Wagairah Ki Duaen Acchi Tarah Sahi Talaffuz Ke Saath Yaad Karlena Chahie Agar Duaen Yaad Na Ho Ya Sahi Na Pad Sake To Tawaaf Me Balke Har Mauqe Par Durood Shareef Padheñ Ke Yeh Afzal Hai Jo Bhi Padheñ Aahista Padheñ..

(Tawaaf Ki Niyyat)
Ab Aap Ka'aba Shareef Ki Janib Rukh Karke Hajre Aswad Ke Qareeb Youñ Khade Ho Ke Kaale Marble Ki Line Aap Ke Dahine Haath (Right Hand) Ko Rahe , Phir Aap Bagair Haath Uthaaaye  Tawaaf Ki Niyyat Kare:

( ALLAHUMMA INNI IRIDU TAWAFA BAITIKAL MUHARRAMI FAYASSIR HOOLI WA TAQABBAL HOO MINNI )
(Tarjuma)
(YA ALLAH ME TERE IZZAT WALE GHAR KA TAWAAF KARNA CHAHATA HU USKO TU MERE KIYE AASAN FARMA AUR USKO MUJHSE QABOOL FARMA)

آمین بجاه شفیع المذنبین

0 comments:

Post a Comment