بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Ahle Bait
Ek jung se wapas hote huwe Hazrate Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم karbala se guzar rahe
the toh thehair gaye aur uss zameen ka naam pucha toh logo ne kaha ke iss
zameen ka naam karbala hai. Karbala ka
naam sun kar aap iss qadar roye ke zameen aashkon se tar ho gayi. Fir Aapne farmaya ke Huzoor ﷺ ki khidmat mein ek baar hazir huwa to dekha ke aap ro rahe hai.
Maine arz ki Yaa Rasulallah ﷺ aap kyu ro rahe hai? Farmaya "Abhi jibraeel aaye the aur
khabar de gaye ke mera beta Hussain dariya e furaat ke kinaare uss jagah
shaheed kiya jayega jisko karbala kehte hai.
Abu Naeem Asbagh kehte hai ek hum Hazrat e
Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke saat karbala se
guzre toh aapne farmaya.
Yeh shaheedon ke oont bithane ki jagah hai
aur iss jagah par unke kujawe (oont ki kaathi jis par do log baithte hai) rakhe
jayenge. Aur yahan unke khoon bahaye jayenge.
Aale Mohammed ﷺ ke bohot se jawaan iss maidaan mein shaheed kiye jayenge aur
unpar zameen o aasmaan royenge.
In ahaadees se yeh malum huwa ke Imam e
Hussain رضي الله عنه ki shahadat ki khabar
Huzoor ﷺ ko pehle se hi di gayi thi aur Huzoor ﷺ ne bhi baar baar iska zikr farmaya.
Bachpan se ho mashoor ho gayi thi. Bal ke
shaheed hone ki jagah samaan ki jagah sab kuch jante the.
KHULAASA.
Huzoor ﷺ ke Ilm e Gaib ka inkaar karne walo ke liye iss mein ibrat hai
ke Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم
ke ilm ko dekho. Jabh in ke ilm ka yeh aalam hai to inke Aaqa Yani Huzoor ﷺ ke ilm ka kya aalam hoga.
# Sawaaeq ul Muharreqa.
# Khasais ul Kubra.
0 comments:
Post a Comment