بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrate Aisha RadiyAllahu Ta'ala Anha farmaya karti thi ki mujhe tamaam ummahatul momineen par kuch aisi fazilate hasil hai jo kisi aur azwaaje mutaharaat ko hasil nahi hui
Maslan
1⃣Huzoor ﷺ ne mere siwa kisi kunwaari se shaadi nahee farmayi.
2⃣Isse pehle ki Huzoor ﷺ mere nikaah ka payaam de Jibrael Alaihissalam ne reshmi kapde par meri surat Huzoor ﷺ dikha di aur kaha ki yeh aapki zohza mutahira hai. Isi tarah aap 3 raate khawaab mein mujhe mulahiza farmate rahe.
3⃣Mere siwa azwaaj mein se koi bhi aisi nahi jinke Maa-Baap dono muhajir ho.
4⃣Allah ﷻ ne meri baraat wa taharat ka bayaan aasman se Quraan Paak mein naazil farmaya.
5⃣Huzoor ﷺ namaz e tahhajud adaa farmate aur mein aapke aage sidhi letey rehti thi aur yeh sulook mere saat hi khaas tha.
6⃣Mai aur Huzoor ﷺ ek hee bartan se paani le lekar gusl kiya karte the. Yeh sharf kisi aur azwaaj ko hasil nahi.
7⃣Kisi zohja mutahira ke jamaye khawaab mein
Huzoor ﷺ par wahee nahi aayi siwaye mere jamaye khawaab ke.
8⃣Huzoor ﷺ ne mere hi ghar mein bimari ka zamana guzara aur meri hi baari ke din aapki Rooh Muqaddas kabz ki gayi.
9⃣Huzoor ﷺ ki iss haal mein Rooh kabz huwi ki aap mere seene aur chaati par aaram farma rahe the.
🔟Aur Huzoor ﷺ mere hujre mein hi madafan huwe.
#Madaarijun Nabbuwah 2/802 - 804

0 comments:
Post a Comment