بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
➡Mubah Kar Dene Se Zakaat Ada Na Hogi Maslan
Fakeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khaana Khila Diya To Zakaat Na Hogi Isliye Ki Yeh Malik Kar Dena Na Huwa
Haa Agar Khaana De De Ki Chahe Khaaye Ya Le Jaaye To Ada Ho Gayi Yuh Hi Zakaat
Ki Niyyat Se Kapda De Diya To Adaa Ho Gayi.
➡Malik Karne Mein Bhi Yeh Zaruri Hai Ki Aise
Ko Zakaat Do Jo Kabza Karna Jaanta Ho Yani Aisa Na Ho Jo Fek De Ya Dhoka Khaaye
Nahi To Adaa Na Hogi Jaise Chote Bacche Ya Pagal Ko Zakat Dene Se Adaa Na Hogi
Jis Bacche Ko Itni Akl Na Ho Toh Uski Taraf Se Uska Baap Jo Fakeer Ho Woh Kabza
Kare Ya Uss Bacche Ka Wasi Ya Woh Jiski Nigraani Mein Hai Woh Kabza Kare.
# Qanoon E Shariat Page no- 220-221
0 comments:
Post a Comment