Friday, April 1, 2016

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #679

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #679

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Be-Aulaad Ko Aulaad Ata Karne Ka Bayaan

▶ Be Aulaad Aurat Ko Saañt (7) Bete Ata Karna

Ek roz ek aurat Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat-e-Aqdas mein haazir huwi aur arz kiya ki Hazrat dua farmaye ki Allah Ta'ala mujhe aulaad ata kare to Aapne Muraqba farmaa kar Lohe Mahfooz ka mushaahida kiya to us aurat ki takdeer mein aulaad nahi likhi thi phir Aapne do (2) betoñ ki dua ki Gaib se nida aayi ke taqdeer mein ek bhi nahi likhi huwi hai aur aap do (2) Ke liye keh rahe ho phir Aapne teen (3) betoñ ke liye dua ki phir wahi jawab mila isi tarah Aapne saañt (7) betoñ ke liye dua ki to yeh basharat (Khushkhabari) mili ki is aurat ko Aap ki dua se saañt (7) bete ata honge.

#Tafrihul Khaatir, Safah 94.

▶ Tashreeh - Aulaad ka dena ya naa dena Haq Ta'ala ka kaam hai bande ka nahi lekin Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه Allah Ta'ala se lekar hi dete hai khud to nahi dete isliye ye aqeeda bilkul thik hai.

Kyuñ naa Qaasim ho ke tu Ibne Abil Qaasim hai
Kyuñ naa Quadir ho ke Mukhtaar hai Baba Tera...

Tu jisse chaahe de jis qadr chaahe de
Teri bakshish nirali ata benazir.....

Hadees e Mubaraka #679

JAAE NA JABH TAK GHULAM KHULD HAI SAB PAR HARAAM
MILK TOH HAI AAPKA TUMPE KAROROÑ DUROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 679
11 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Burida رضي الله عنه se riwayat hai Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ jannatiyoñ ki 120 saf'e hongi aur un mein se 80 saf'e is ummat ki hongi aur 40 saf'e doosre ummatiyoñ ki.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #678

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #678

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 676 , 677 & 678
Surah Aale Imran
Aayat No. 48 & 49.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Aur tumhe batata hu jo tum khaate aur jo apne gharoñ mein jamaa kar rakhte ho, beshak in baatoñ mein tumhare liye badi nishani hai agar tum Imaan rakhte ho.

▶ Tafseer
5⃣ Jabh Hazrate Isaa عليه السلام ne beemaro ko accha kiya aur murdoñ ko zinda to baaz logoñ ne kaha ki yeh to jaadu hai aur koi mojezaa dikhaiye to Aapne farmaya jo tum khaate aur jo tum jamaa rakhte ho Maiñ uski tumhe khabar deta hu isi se saabit huwa ki Gaib ke uloom Ambiya ka moujeza hai aur Hazrate Isaa عليه السلام ke daste mubarak par yeh moujeza bhi zaahir huwa Aap aadmi ko bata dete the jo wo kal khaa chuka aur aaj khayega aur agle waqt ke liye tayyar kar rakha Aap ke paas bacche bahot se jamaa ho jaate the Aap unhein batate the ki tumhare ghar falaañ cheez tayyar huwi hai tumhare ghar waloñ ne falaañ falaañ cheez khaayi hai falaan cheez tumhare liye uthaa rakhi hai bacche ghar jaate rote ghar waaloñ se woh cheez maangte ghar wale woh cheez dete aur unse kehte ki tumhe kisne bataya aur bache kehte Hazrate Isaa عليه السلام ne to logoñ ne Aap ke paas apne bacho ko aane se roka aur kaha woh jaadugar hai unke paas na baitho aur ek makaan mein sab bacchoñ ko jamaa kar diya Hazrate Isaa عليه السلام bacchoñ ki talaash karte tashreef laaye to logoñ ne kaha woh yahaañ nahi hai Aapne farmaya phir is makaan mein kaun hai unhone kaha Su'ar (Pig) hai farmaya aisa hi hoga abh jo darwaza kholte hai to sab su'ar hi su'ar the Al Haasil gaib ki khabare dena Ambiya ka moujeza hai aur be wasatat Ambiya koi bashar umoore gaib par muttala'a nahiñ ho sakta.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #678

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #678

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Cheezoñ ki Haqeeqat badalne ke bayan mein.

▶ Sharaab ko Sirqe mein badal dena.

Hazrat Abi Saaleh Nasar رحمة الله عليه se manqool hai ki Aapne kaha ki maiñe apne walide mohtaram Hazrat Abdul Razzaq رحمة الله عليه se suna woh farmate the ki mere waalid Sayyiduna Abdul Qaadir Jeelani رضي الله عنه ek roz namaz e jumu'ah ke liye nikle maiñ aur mere do bhai Hazrat Abdul Wahaab Aur Hazrat Abdul Isaa رحمة الله عليه Aapke saath the raaste mein humko haakime waqt ke 3 sharab ke matke mile jinme boo bahot tez thi unke saath kotwal aur huqumat ke log the unse Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne farmaya thahair jaao lekin jaanwaroñ ko daudane mein unhone jaldi ki phir Aapne jaanwaron se kaha thahair jaao to woh wahi apni jagah aise thahair gaye jaise ki patthar ke ho woh log unhein bohat maarte the lekin jaanwar apni jagah se na hilte the unsab logo ko koulanj ka dard shuru ho gaya aur zameen par lotne lage phir ailaaniya tauba aur istigfaar karne lage phir unse dard jaata raha aur sharaab ki boo sirqe mein badal gayi unhone bartano ko khola to woh Sirqa tha Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه Jaama Masjid chale gaye aur yeh khabar haakime waqt tak pahuch gayi tab woh khauf se rone lage aur Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki baargah mein haazir huwa aur maafi maangi.

#Bahjatul Asraar, Safah 117.

▶ Tashreeh - Yeh Aapka kamaale tasarruf hai ki sharaab ko jo ki haraam hai uski asliyat ko sirke mein badal diye jo ki halaal hai sharab aur sirqe ki haqeeqat wa maahiyat alag hai sharab ki haqeeqat tabdeel kar dena bohat badi karaamat hai.

Zi tasarruf bhi hai maazoon bhi mukhtaar bhi hai ..
Kaar e Aalam ka mudabbir bhi hai Abdul Qaadir...

Hadees e Mubaraka #678

YUÑ TOH KEHLATA HOOÑ BANDA MAIÑ TUMHARA LEKIN
APNA KEH KE JO BULAO TOH BAHUT ACCHA HO
QAID E SHAITAAN SE CHHUDAO TO BAHUT ACCHA HO
MUJH KO APNA JO BANAO TO BAHUT ACCHA HO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka#678
10 Jamadil Awaal 1437 Hijri.

Hazrat e Salman رضي الله عنه riwayat farmate hai Sarwar e Qaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke jo shakhs fajr ki namaz ko gaya woh imaan ka jhanda le kar gaya aur jo subha sawere bazaar ki taraf gaya toh woh shaitan ka jhanda lekar gaya.

#Ibne Majah Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #677

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #677

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 676 & 677.
Surah Aale Imran
Aayat No. 48 & 49.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur maiñ murde jilaata hu Allah ke hukm se.

▶ Tafseer
4⃣ Hazrate Ibne Abbas ne farmaya ki Hazrate Isaa عليه السلام ne 4 shakhsoñ ko zinda kiya
1⃣ Aazar jisko aapke saath ikhlaas tha jabh uski haalat naazuk huwi to uski bahen ne Aapko ittell'a di magar woh Aap se 3 roz ki musafat ke faasle par tha jabh Aap 3 roz mein waha pahoche to malum huwa ki uske inteqaal ko 3 roz ho chuke Aapne uski bahen se farmaya ki uski qabr par le chal woh le gayi Aapne Allah Ta'ala se dua farmayi Aazar ba izne Ilaahi zinda hokar qabr se bahar aaya aur muddat tak zinda raha aur uske aulaad huwi.
2⃣ Ek budhiya ka ladka jiska janaza Hazrat ke saamne se jaa raha tha Aapne uske liye dua farmayi woh zinda ho kar na'ash bardaaroñ ke kandhoñ se utar pada kapde pehne ghar aaya zinda raha aulaad huwi.
3⃣ Ek Aashir ki ladki ko shaam ko mari Allah Ta'ala ne Hazrate Isaa عليه السلام ki dua se usko zinda kiya.
4⃣ Ek Saam Bin Nooh jinki wafaat ko Hazaaro baras guzar chuke the logoñ ne khwahish ki ki Aap unko zinda kare Aap unki nishaandehi se unko qabr par pahuche Allah Ta'ala se dua ki Saam ne suna koi kehne wala kehta hai Ajeeb Ruhullah yeh sunte hi woh mar'uub aur khaufzada uth khade huwe aur unhein gumaan huwa ki qayamat kaayam ho gayi us haul se unka sar Safed ho gaya phir woh Hazrate Isaa عليه السلام par Imaan laaye aur unhone Hazrate Isaa عليه السلام se darkhwast ki dobara unhein Sakaraate maut ki takleef na ho baghair uske wapas kiyaa jaye chunanche ussi waqt unka inteqaal ho gaya aur "Bi Iznillah " farmane mein Radd hai Nasaara ka jo Hazrate Maseeh ki uloohiyat ke qaayil the.

〰〰 to be contd.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #677

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #677

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Be-Aulaad Ko Aulaad Ata Karne Ka Bayaan

▶ Be Aulaad Aurat Ko Saañt (7) Bete Ata Karna

Ek roz ek aurat Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat-e-Aqdas mein haazir huwi aur arz kiya ki Hazrat dua farmaye ki Allah Ta'ala mujhe aulaad ata kare to Aapne Muraqba farmaa kar Lohe Mahfooz ka mushaahida kiya to us aurat ki takdeer mein aulaad nahi likhi thi phir Aapne do (2) betoñ ki dua ki Gaib se nida aayi ke taqdeer mein ek bhi nahi likhi huwi hai aur aap do (2) Ke liye keh rahe ho phir Aapne teen (3) betoñ ke liye dua ki phir wahi jawab mila isi tarah Aapne saañt (7) betoñ ke liye dua ki to yeh basharat (Khushkhabari) mili ki is aurat ko Aap ki dua se saañt (7) bete ata honge.

#Tafrihul Khaatir, Safah 94.

▶ Tashreeh - Aulaad ka dena ya naa dena Haq Ta'ala ka kaam hai bande ka nahi lekin Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه Allah Ta'ala se lekar hi dete hai khud to nahi dete isliye ye aqeeda bilkul thik hai.

Kyuñ naa Qaasim ho ke tu Ibne Abil Qaasim hai
Kyuñ naa Quadir ho ke Mukhtaar hai Baba Tera...

Tu jisse chaahe de jis qadr chaahe de
Teri bakshish nirali ata benazir.....

Hadees e Mubaraka #677

AUR KOI GAIB KYA TUMSE NIHA HO BHALA
JAB NA KHUDA HI CHHUPA TUMPE KAROROÑ DUROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 677
9 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنهم
se riwayat hai Nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya ki tum dekhte ho ki Mera mun'h is taraf hai jab ki Khuda ﷻ ki kasam Mujh par tumhari khushu aur ruku hargiz poshida nahi Maiñ peeth ke pichhe se bhi dekhta hooñ.

#Bukhari jild 1 safah 59

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #676

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #676.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 48 & 49.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah use sikhayega kitaab aur hiqmat aur Tauret aur Injeel, Aur Rasool hoga Bani Israeel ki taraf yeh farmata huwa ki maiñ tumhare paas ek nishani laaya hu.
2⃣ Tumhare Rab ki taraf se ki maiñ tumhare liye mitti se parind ki si moorat banata hu aur phir usme phooñk maarta hu to woh fauran parind ho jaati hai Allah ke hukm se.

▶ Tafseer
1⃣ Jo mere daawa e Nabuwwat ke sidq ki daleel hai.
2⃣ Jabh Hazrate Isaa عليه السلام ne nabuwwat ka daawa kiya aur moujezaat dikhaye to logoñ ne darkhwast ki Aap ek chamgaadad paida kare Aap ne mitti se chamgaadad ki soorat banayi phir usme phooñk maari to woh udne lagi chamgaadad ki khusoosiyat yeh hai ki woh udne waale jaanwaroñ mein bahot akmal aur ajeeb tar hai aur qudrat par dalalat karne mein auroñ se ablag kyuñki woh baghair paro ke to udti hai aur daañt rakhti hai aur hasti hai aur uski maada ke chaati hoti hai aur baccha janti hai bawajood ke udne waale jaanwaroñ meiñ yeh baate nahi hai.

〰〰 to be contd.

Thursday, March 31, 2016

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #676

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #676

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Beemar ko Tandrust karne ka bayaan.
▶ Istiskaa ke Mareezo ko Shifa dena.

Shaikh Khizr Al-Hussaini Mausli رحمة الله عليه bayan karte hai ki maiñ 13 saal Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله ki khidmat mein raha aur bahot si karamaat dekhta raha in karamato mein se ek azeem karamat yeh thi ki jabh hakeem kisi mareez se aajiz aa jate aur jawab de dete to us mareez ko aap ki Khidmat e Aqdas mein laaya jaata Aap uske jism par haath phair kar dua farmate aur woh mareez fauran shifayaab ho jaata chunache ek baar khalifa Mustanjid Billah ka ek kareebi Azeez Istiskaa ke marz mein mubtila huwa usko Aap ke paas laaya gaya uska peit paani pite pite phool gaya tha jabh uske peit par Gauz e Aazam ne haath phaira to is tarah dab gaya jaise usko yeh marz tha hi nahi.

Ek baar Abul Mu-Aali Baghdaadi ne Aap se arz kiya ki mera baccha Muhammed 15 mahino se bukhar mein mubtila hai aur kisi waqt bhi bukhar kam nahi hota Aap ne farmaya uske kaan meiñ keh do
"Aye Umme Muldin! Shaykh Abdul Qaadir Ne Hukm Diya Hai Ki Mere Bacche Par Se Hila Ki Taraf Chala Jaa"
Abul Muaali ne Gause Aazam ke kehne par amal kiya aur bacche ka purana bukhar jaata raha.

▶ Tashreeh - Aaj ki zindagi mein jabh ki Homeopathy, Unaani wagairah urooj par hai phir bhi bahot si aisi beemariya hai jinka ilaaj nahi hai lekin Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه Apni karamat se laa-ilaaj mareezoñ ko tandrust farmate jaisa ke upar bayan ki gayi karamat hai.

Ranjo alam kaseer haiñ Ya Gaus Al Madad ..
Hum aajizo Aseer haiñ Ya Gaus Al Madad...