بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrat e Muslim ki shahaadat ke baad Hazrate Haani jinhone apne ghar mai panah di thi unki shahaadat.
Hazrate Muslim ki shahaadat 3 zil hijja 60 hijri ko hui.
Aapki shahaadat ke baad kufaa walo par aisa khauf chaa gaya ke logo ne gharo se nikalna chod diya har taraf sannaata chaa gaya ke ek dusre ki khabar na thi.
Yahan tak ke Hazrat Haani bin Urwah jin ke qatal ka sunkar un ke qabilewalon ne governor house gher liya tha jab unko bazar mai le jaa kar qatal karne ka hukm huwa. Haani ko haath bandh kar le jaa rahe the toh woh pukaar rahe the.
Kahan hai mere qabile wale mere gharwale meri jaan kyun nahi bachate magar koi nazar nahi aaya jo Haani ki madad karta jab wo maayus ho gaye toh zor laga kar apna haath raasi se aazaad kara kar zorse pukare ke koi laathi danda chadi patthr ya uunt ki haddi hi do ke mai apni jaan bacha saku.
Kisi ne kuch bhi jawab tak na diya.
Sipahiyon ne Aap k haath wapas bandhe aur bhare baazaar mai shaheed kar diya.
INNA LILLAHI WA INNA ILAI HEE RAJIUN.
Hazrte Muslim ne jab 40000 logon ke sath governor house ka gheraw kiya tha ussi waqt apne dono beto ko Qaazi Shureh ke yahan bhej diya tha.
Jab ibne ziyaad ko pata chala ke Muslim ke sath do bachche bhi the to usne saare sheher me elaan karwa diya ke jo bhi Muslim ke bachchon ko chupayega woh sakht saza payega aur jo pakad kar hukumat ke hawale karega usko inaam diya jayega.
Ibne ziyaad ke elaan se laalchi log aur sipahi inaam ki laalach me bachchon ki talaash me dod pade.
#Taarikhe Tibri
#Sawanahe Karbala

0 comments:
Post a Comment