Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 211 - Jailer ki shahaadat aur Bachon ke qaatil ka anjaam

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Jailer ki shahaadat aur
Bachon ke qaatil ka anjaam.

 Jailer jiska naam Mashkuur tha ahlebait ki muhabbat mein jabh baccho ko chordh diya toh ibne ziyaad ne jailer ko talab kiya aur pucha ke tune bachon ko kyu chodj diya. Usne bola ahle bait ki muhabbat mein, ibne ziyaad bola ke tujhe mujhse dar nahi laga, jailer ne Mashkuur bola Jo Allah se darte hai woh kisi se nahi darte. Ibne ziyaad bola unko chordh kar tujhe kya mila.
Bola mujhe ummeed hai ke mere yeh karne se Allah ﷻ aur Rasool ﷺ razi hoge aur qayamat ke din meri shafa'at ke zariye bakhshish ho jayegi.

 Ibne ziyaad bola ke abh dekh tujhe kaisi saza deta hu. Jailer bola yeh to ek jaan hai agar 1000 jaanei bhi hoti to sab ahle bait par qurbaan kar deta. Ibne ziyaad ne jallaad se kaha ke iss par itne kode (hunter) maaro ke yeh mar jaye. Pehle kode par jailer ne Bismillah padhi.
Dusre kode par sabr ki dua ki.
Teesre kode par ahle bait ka wasila diya. Chauthe par bakhshish ki dua maangi. Panchwe kode par arz ki Yaa Allah mujhe ahlebait se mila de. Aur jallad ne apna kaam tamaam kar diya.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

 Udhar baccho ke qaatil haaris baccho ke sar le kar ibne ziyaad ke paas inaam ke liye gaya. Ibne ziyaad baccho ka sar dekh kar hairan huwa aur jalal mein aagaya aur bola ke tujhe inn bacchon ko maarne ka kisne kaha tha.
Udhar yazeed ko maine bache zinda pahuchane ka wada kiya hai aur tune inko maar diya.

Agar zinda bache maange to kya jawab dunga. Phir ibne ziyaad ne jallad se kaha ke iski bhi gardan maar di jaye aur iss tarah bacchon ke qaatil ko bhi maar diya gaya.
 

0 comments:

Post a Comment