Sunday, May 31, 2015

# 409 Shaan e Imaam e Azam رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



ke mukhalifo mein se ek shakhs ne aap se puchha: Aapka fatwa aise shakhs ke baare meib kya hai jo jannat ka umeedwar na ho aur na jahannam se darta ho aur na khuda se! murdaar khata hai aur be-ruku sujud ke namaz parhta hai aur bagair dekhe gawahi deta hai, sachhi baat ko napasand karta hai, fitne ko dost rakhta hai, rehmat se bhagta hai, yahoodo aur nasaara ki tasdeeq karta hai?
Imaam e Aazam رضي الله عنه ke shagird jo maujood the woh bol uthhe ye shifaat to kafir ki hai. Imaam e Aazam muskura uthhe aur irshad farmaya:
Nahee aisa shakhs to Allah ka dost hai aur kaamil momin hai. Phir farmaya wo Rabb e jannat ki ummid rakhta hai aur Rabb e douzakh se darta hai aur Allah Ta'ala se iss baat ka khauf nahee karta ke wo uss par zulm karega.
Murda machhli khata hai, janaze ki namaz parhta hai, Huzoor par darood parhta hai, aur andekhi baat par gawahi dene ke yeh ma'ane hai wo Allah ko bagair dekhe gawahi deta hai aur wo maut ko na pasand karta hai, jo haqq hai taaki zinda reh kar Allah ki farmabardaari kare, maal wa aulaad fitna hai jisko dost rakhta hai, woh rehmat jisse bhagta hai wo baarish hai, yahoodi ki tasdeeq karta hai ke nasaara kuch nahi aur nasaara ki tasdeeq karta hai ke yahoodi kuch nahi.
Uss shakhs ne jabh yeh purmagz aur muskit jawab suna to aap ke qadmo mein gir gaya aur kaha mein kasam kha kar gawahi deta hu aap haq par haiٌ.
# Jawahirul bayaan Fi Tarjamatil Khairatil Hassan Safah No 48.
Sabak:
Hamare Imaam e Aazam رضي الله عنه ko Khuda Ta'ala ne deen ki aisi samajh ataa farmai ke bade bade mushkil masa'eel jinhe koi hal nahi kar sakta tha wo aap pal bhar mein hal karte the. Aapki deen ki sujh bujh ka loha gair muslim bhi mante the.
 

0 comments:

Post a Comment