بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hamare Imaam e Aazam رضي الله عنه ko Khuda Ta'ala ne deen ki aisi samajh ataa farmai ke bade bade mushkil masa'eel jinhe koi hal nahi kar sakta tha wo aap pal bhar mein hal karte the. Aapki deen ki sujh bujh ka loha gair muslim bhi mante the.
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
ke mukhalifo mein se ek shakhs ne aap se
puchha: Aapka fatwa aise shakhs ke baare meib kya hai jo jannat ka
umeedwar na ho aur na jahannam se darta ho aur na khuda se! murdaar khata hai
aur be-ruku sujud ke namaz parhta hai aur bagair dekhe gawahi deta hai, sachhi
baat ko napasand karta hai, fitne ko dost rakhta hai, rehmat se bhagta hai,
yahoodo aur nasaara ki tasdeeq karta hai?
Imaam e Aazam رضي الله عنه ke shagird jo maujood the woh bol uthhe ye
shifaat to kafir ki hai. Imaam e Aazam muskura uthhe aur irshad farmaya:
Nahee aisa shakhs to Allah ka dost hai aur
kaamil momin hai. Phir farmaya wo Rabb e jannat ki ummid rakhta hai aur Rabb e
douzakh se darta hai aur Allah Ta'ala se iss baat ka khauf nahee karta ke wo
uss par zulm karega.
Murda machhli khata hai, janaze ki
namaz parhta hai, Huzoor ﷺ par darood parhta hai, aur andekhi baat par gawahi dene ke yeh
ma'ane hai wo Allah ﷻ ko
bagair dekhe gawahi deta hai aur wo maut ko na pasand karta hai, jo haqq hai
taaki zinda reh kar Allah ﷻ ki farmabardaari kare, maal wa aulaad fitna hai jisko dost rakhta
hai, woh rehmat jisse bhagta hai wo baarish hai, yahoodi ki tasdeeq karta hai
ke nasaara kuch nahi aur nasaara ki tasdeeq karta hai ke yahoodi kuch nahi.
Uss shakhs ne jabh yeh purmagz aur muskit
jawab suna to aap ke qadmo mein gir gaya aur kaha mein kasam kha kar gawahi
deta hu aap haq par haiٌ.
# Jawahirul bayaan Fi Tarjamatil Khairatil
Hassan Safah No 48.
Sabak:Hamare Imaam e Aazam رضي الله عنه ko Khuda Ta'ala ne deen ki aisi samajh ataa farmai ke bade bade mushkil masa'eel jinhe koi hal nahi kar sakta tha wo aap pal bhar mein hal karte the. Aapki deen ki sujh bujh ka loha gair muslim bhi mante the.
0 comments:
Post a Comment