Sunday, March 27, 2016

Habeeb e Khuda MuhammeduRasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat #622

SHARE
Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat #622.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Ek din Huzoor e Akdas ﷺ apne sathh Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه wa Hazrat Umar رضي الله عنه wa Hazrat e Usman رضي الله عنه ko lekar Ohad par chade
▶Apne uper Huzoor ﷺ ke kadam mubarak lagne se pahad joshe Musarrat mai jhoom kar hilne laga Uss waqt Sarkar e do aalam ﷺ ne thhokar maar kar ye farmaya ki "Thhahar ja" Iss waqt teri pusht par ek paigamber hai aur ek siddique hai aur 2 shaheed hai

# Bukhari Jild 1, Safah 519

▶Yaha ye baat gor talab hai ke huzoor ﷺ ne farmaya ke teri pusht par 1 paigamber 1 siddique aur 2 shaheed khade hai
▶Yaha shaheed se muraad hazrat Umar aur Hazrat e Usman رضي الله عنه hue
Ab jo log ye kehte hai ke huzoor ﷺ ko dewaar ke pichhe ka ilm nahi Ma'azAllah ya Huzoor ﷺ ko jo kuch hone wala hai usski khabar nahi to wo log ye padhe aur samje ke Sarkar ﷺ uss jannati pahad par khade hokar farma rahe hai ke ye 2 mere sahaba shaheed honge ye huzoor ﷺ ke ilm e gaib ki roshan dalil hai

0 comments:

Post a Comment