Friday, March 25, 2016

Habeeb e Khuda MuhammeduRasoolAllah ﷺ Imam ul Ambiya #615

SHARE
Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ Imam ul Ambiya #615.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Aapke Ummi laqab hone ka hakeeki raaz kya hai?

Isko Khudavande Quddus ke siwa aur kaun bata sakta hai, lekin bazahir iss mein chand hikmatein aur fawaeed malum hote hai.

▶ Koi insan Huzoor ﷺ ka ustad naa ho taaki kabhi koi ye na keh sake ki Paigamber toh mera padhaya huwa shagird hai.
▶ Koi shakhs yeh guman na kar sake falaañ aadmi Huzoor ﷺ ka ustad tha toh shayad woh Huzoor ﷺ se zyada ilm wala hoga.
▶ Huzoor ﷺ ke baarein mein koi yeh wahem na kar sake ke Huzoor ﷺ padhe likhe the to khud hi Quraan ki Aayatoñ ko apni taraf se bana kar pesh kiya hai aur Quraan unhi ka banaya huwa hai.
▶ Jab Huzoor ﷺ saari duniya ko kitab wa hikmat ki ta'aleem de to koi yeh na keh sake purani kitabo ko dekh kar sab baate pesh kar rahe hai.
▶ Agar Huzoor ﷺ ka koi ustad hota toh Aapko uski tazeem karni padti aur Allah ﷻ ne Aapko issi liye paida farmaya ke saara aalam aap ki tazeem kare issi liye Rabb Tabarak wa Ta'ala ne iss ko gawara nahi farmaya ke mera mehboob kisi ke aage jaanu-e-talammuz kare aur uska koi ustad ho

#Tu kisi ke ghataye se naa ghata hai naa ghatega,
Jabh badhaye tujhe Allah Ta'ala tera.

0 comments:

Post a Comment