Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 618.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 279
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Phir agar aisa na karo to yakeen kar lo Allah aur Allah ke Rasool se ladaai ka.
2⃣ Aur Agar tum taubah karo to Apna asl maal lelo na tum kisi ko nuksaan pahuchao.
3⃣ Na tumhe nuksaan ho.
▶ Tafseer
1⃣ Ye waeed wa tahdeed mein mubalaga wa tashdeed hai kiski majaal ki Allah aur uske Rasool se ladayi ka tasawwur bhi kare chunañche un as'haab ne apne Soodi mutalaba chhord aur yeh bhi arz kiya ki Allah aur uske Rasool se ladayi ki humein kya taab aur tayeeb huwe.
2⃣ Zyada le kar.
3⃣ Raas ul maal ghata kar.
Friday, March 25, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment