Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #601.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 265.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur unki kahawat jo apne maal Allah ki raza chahne mein kharch karte hai aur Apne dil jamane ko.
2⃣ Us baagh ki si hai jo bhood (registan) par ho us par zor ka paani pada to doone mewe laaya phir agar zor ka meh use na pahuche to oos kaafi hai.
3⃣ Aur Allah tumhare kaam dekh raha hai.
▶ Tafseer
1⃣ Raahe Khuda mein kharch karne par.
2⃣ Ye momeen mukhlis ke aamaal ki ek misaal hai ki jis tarah buland khitta ki behtareen zameen ka baag har haal mein khood falta hai khwaah baarish kam ho ya zyada aise hi baa Ikhlaas momeen ka sadqa aur infaq khwaah kam ho ya ya zyaada ho Allah Ta'ala usko badhata hai.
3⃣ Aur Tumhari niyyat aur ikhlaas ko jaanta hai.
Sunday, March 13, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment