Friday, March 25, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #616

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 616.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 276 , 277 , 278

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Allah Halaaq karta hai sood ko.
2⃣ Aur badhata hai khairat ko.
3⃣ Aur Allah ko pasand nahi aata koi naa-shukra bada gunehgaar beshak woh jo Imaan laaye aur acche kaam kiye aur namaz kaayam kiye * aur zakaat di unka neg unke Rab ke paas hai, aur unhein na kuch andesha hai na kuch gum, Aye Imaan waaloñ Allah se daro aur chhod do jo baaki reh gaya hai sood, agar musalman ho.

▶ Tafseer
1⃣ Aur usko barkat se mehroom karta hai Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya ki Allah Ta'ala usse na saqda qubool kare na Hajj ne Jihaad na silaa.
2⃣ Usko zyada karta hai aur usme barkat farmata hai duniya mein aur aakhirat mein uska ajr wa sawab badhata hai.
3⃣ Shaane nuzool yeh Aayat un as'haab ke haq mein naazil huwi jo sood ki hurmat naazil hone se qable soodi lein dein karte aur unki giran qadar soodi rakameiñ doosro ke zimma baaki thi usme hukm diya gaya ki sood ki hurmat naazil hone ke baad saabik ke mutalaba bhi wajibut-tarq hai aur pehla muqarrar kiya huwa sood bhi abh lena jayaz nahi.

0 comments:

Post a Comment