Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #610.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Contd. Post # 609.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 272 & 273.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur tumhe kharch karna munasib nahi magar Allah ki marzi chahne ke liye aur jo maal do tumhe poora milega aur nuksaan na diye jaaoge un faqeero ke liye jo raahe khuda mein roke gaye.
4⃣ Zameen mein chal nahi sakte.
▶ Tafseer
3⃣ Yaani Sadqaate mazkoor jo Aayat mein zikr huwe unka behtareen masraf wo fuqra hai jinhone apne nafs ko jehaad wa ta'ate Ilahi par roka. Shaane nuzool ye Aayat ahle suffa ke haq mein naazil huwi un hazraat ki taadaad 400 ke kareeb thi woh hijrat karke Madeena Tayyaba haazir huwe the na yahan unka makaan tha na qabeela kumba na un hazraat ne shaadi ki thi unke tamaam aukaat ibaadat mein saraf hote the raat mein Quraane kareem seekhna din mein jehaad ke kaam mein rehna Aayat mein unke baaz ausaaf ka bayan hai
4⃣ Kyu ki unhein deeni kaamo se itni fursat nahi ki wo chal phir kar kasbe ma'aash kar sake.
〰〰 to be contd.
Thursday, March 24, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment