Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #633.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Aayat No. 1 & 2
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aleef Laam Meem
2⃣ Allah hai jiske siwa kisi ki pooja nahi aap zinda auroñ ko qayam rakhne wala.
▶ Tafseer
▶ Surah Aale Imran Madina Tayyabah mein naazil huwi isme 200 Aayate 3480 kalime 14520 huroof hai.
2⃣ Shaane nuzool mufassireen ne farmaya ki yeh Aayat wafde nazraan ke haq mein naazil huwi jo 60 sawaro par mushtamil tha uske 14 sardar the aur 3 us qaum ke bade akabir wa muqtada ek aaqib jiska naam Abdul masih thaw o shakhs ameere qaum tha aur baghair uski raaye ke nasara koi kaam na karte the Dusra Sayyed jiska naam Aehma thaw o shakhs apni qaum ka mo'atamade aazam aur maaliyaat ka afsare aala tha Khurdo nosh aur rasado ke tamaam intezamat usi ke hukm se hote the teesra Abu Hareesa Ibne Alqama tha ye shakhs nasara ke tamam aulma aur paadriyon ka peshwaye aazam tha salateene Room uske ilm aur uski deeni azmat ke lihaaz se uska iqraam wa adab karte the ye tamam log umda aur keemti poshak pehen kar badi shaan wa shikoh se Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se munazra karne ke kasd se aaye aur masjide aqdas mein daakhil huwe Huzoor Sayyade Aalam ﷺ us waqt namaze asr adaa kar rahe the un logoñ ki namaz ka waqt bhi aa gaya aur unhone bhi masjid shareef hi mein jaanibe sharq mutawajjah ho kar Namaz shuru kar di faraag ke baad Huzoore Aqdas ﷺ se guftagu shuru ki Huzoor ﷺ ne farmaya tum Islam laao kehne lage hum Aap se pehle Islaam laa chuke Huzoor ﷺ ne farmaya yeh galat hai yeh daawa jhoota hai tumhe Islaam se tumhara ye daawa rokta hai ki Allah ke aulaad hai tumhari saleeb parasti rokti hai aur tumhara khinzeer khana rokta hai. Unhone kaha ki agar Isaa Khuda ke bete na ho to bataiye unka Baap kaun hai? aur sab ke sab bolne lage Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya kya tum nahi jaante ki beta baap se zarur mushabah hota hai unhone iqraar kiya phir
farmaya kya tum nahi jaante ki hamara Rab "Hayyun Laayamut " hai uske liye maut muhaal hai aur Isaa par maut aane wali hai unhone iska bhi iqraar kiya phir farmaya kya tum nahi jaante ki Hamara Rab bando ka kaarsaaz aur unka haafize haqeeqi aur rozi dene wala hai unhone kaha haañ Huzoor ﷺ ne farmaya kya Hazrate Isaa bhi aise hi hai kehne lage nahi farmaya kya tum nahi jaante ki Allah Ta'ala par Aasman wa zameen ki koi cheez poshida nahi unhone iqraar kiya Huzoor ﷺ ne farmaya ki Hazrate Isaa Baghair taalime Ilaahi usme se kuch nahi jaante hai unhone kaha nahi Huzoor ﷺ ne farmaya kya tum nahi jaante ki Hazrate Isaa hamal mein rahe paida hone walo ki tarah paida huwa baccho ki tarah gizza diye gaye khaate pite the awarize bashari rakhte the unhone iska iqraar kiya Huzoor ﷺ farmaya phir woh kaise Ilaah ho sakte hai jaisa ki tumhara gumaan hai is par sab saaqit reh gaye aur unse koi jawab ban na aaya is par Surah Aale Imraan ki awwal se kuchh upar 80 aayate naazil huwi.
▶ Fayeda - Sifaate Ilahiya mein Hayya ba-maana daayeem baaki ke hai yaani aisa hameshgi rakhne wala jiski maut mumkin na ho qayyum woh hai jo qayeem bizzaat ho aur khalq apni duniyawi aur ukhrawi zindagi mein jo rakhti hai uski tadbeer farmaye.
Monday, March 28, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment