Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #597.
بسم الله الرحمن الرحم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 261.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Unki kahawat jo Apne maal Allah ki raah mein kharch karte hai.
2⃣ Us Daana ki tarah jisne ugaayi saañt (7) baale.
3⃣ Har baal mein 100 daane Aur Allah isse bhi zyada badhaye jiske liye chaahe aur Allah wus'at wala ilm wala hai.
▶ Tafseer
1⃣ Khwah kharch karna waajib ho ya nafl tamaam abwaabe khair ko aam hai khwaah kisi taalibe ilm ko kitaab kharid kar di jaaye ya koi sheefa khana bana diya jaaye ya amwaat ke isaale sawab ke liye teeja 10vi, 20vi, 40vi, ke tareeka par masakeen ko khana khilaya jaaye.
2⃣ Ugaane wala hakekat mein Allah hi hai daana ki taraf uski nisbat majazi hai.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki asnaade majazi jaayaz hai jabki asnaad karne wala gaire Khuda ko mustakil fit'tasarruf aitekaad na karta ho isiliye ye kehna jayaz hai ki ye dawa nafe'a hai , ye mujir hai, yeh dard ki dafe'a hai Maa Baap ne paala Aalim ne gumrahi se bachaya buzurgoñ ne hajat rawayi ki waghairah sab mein asnaade majazi hai aur musalman ke aitekaad mein fayile hakeeki sirf Allah Ta'ala hai baaki sab wasayil.
3⃣ To ek daana se 700 daane ho gaye isi tarah raahe Khuda mein kharch karne se 700 guna ajr ho jaata hai.
0 comments:
Post a Comment