Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #595.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Contd Post # 594.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 260.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aye mere Rab mujhe dikha de tu kyu kar murde jilayega farmaya kya tujhe yakeen nahi.
3⃣ Arz ki yakeen kyu nahi magar yeh chahta hu ki mere dil ko karaar aa jaaye.
▶ Tafseer
2⃣ Allah Ta'ala Aalime Gaib wa Shahadat hai usko Hazrate Ibraheem عليه لسلام ke kamaale Imaan wa Yakeen ka ilm hai bawajood iske yeh sawal farmana ki kya tujhe yakeen nahi isliye hai ki saameyeen ko sawal ka maqsad maloom ho jaye aur woh jaan le ki yeh sawal kisi shak wa shubaha ki bina par na tha. (#Baijawi wa Jumal Waghairah)
3⃣ Aur intezaar ki bechaini rafa'a ho Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya maana yeh hai ki is alamat se mere dil ko taskeen ho jaaye ki tune mujhe Apna khaleel banaya.
〰〰 to be contd.
Tuesday, March 8, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment