Wednesday, March 9, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #596

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #596.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 594 & 595.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 260.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Farmaya to accha chaar parinde lekar apne saath hila le.
5⃣ Phir unka ek-ek tukda har pahaad par rakh de phir unhe bula woh tere paas chale aayenge paañv se daudte aur jaan rakh ki Allah Gaalib hiqmat wala hai.

▶ Tafseer
4⃣ Taaki acchi tarah shanakht ho jaaye.
5⃣ Hazrate Ibraheem عليه لسلام ne 4 parinde liye More, Murg, Kabootar aur kawwa unhe ba hukm e Ilahi zabah kiya unke par ukhade aur kheema karke unke ajaza baaham khalat kar diye aur us mazmuaa ke kayi hissa kiye ek-ek hissa ek-ek pahaad par rakha aur sar sabke Apne paas mehfooz rakhe phir farmaya chale aao Hukm e Ilahi se yeh farmate hi woh Ajaza ude aur Har-har jaanwar ke ajaza alahida alahida ho kar apni tarteeb se jamaa huwe aur parindoñ ki shaklein ban kar apne paon se daudte haazir huwe aur apne apne saroñ se mil kar beaine hi pehle ki tarah muqammal ho kar ud gaye.
سُــــبْحانَ الله

0 comments:

Post a Comment