Monday, April 6, 2015

Bahar e Shari'at 340 - Maut ke baad ka bayan

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



▶ Maut ka matlab yeh hai ki rooh jism se alag ho jaaye iska matlab hargiz ye nahi ki rooh ko maut aa jaati hai ya rooh fana ho jaati hai agar koi rooh ke liye fana ho jana maane to wo badmazhab hai.
▶ Murde kalam(baate) bhi karte hai, unki baato ko aam log jinn aur insan nahi sun sakte lekin tamam qism ke janwar sun sakte hai.
▶ Jab murde ko qabr mein dafn karte hai uss waqt qabr usko dabati hai agar wo musalman hai to qabr usse iss tarah dabati hai jaise maa apne bacche ko pyar se gale lagati hai aur agar kafir hai to usko iss zor se dabati hai ki idhar ki pasliya udhar ho jati hai.

Note-Yaha Musalman se muraad Sahihul aqeeda musalman hai, naa ki sirf naam nihad Musalman
Huzoor ﷺ ki sachhi tazeem karne wala musalman maana jayega

Saiyyadi Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai,

Unheiñ jana unheiñ maana na rakha gair se kaam,
Lillahil hamd maiñ duniya se musalmaan gaya.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment