Monday, April 6, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan 343 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 18

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 18
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
8⃣1⃣ صُمٌّ بُكْمٌ عُمْيٌ فَهُمْ لَا يَرْجِعُونَ

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala
1⃣8⃣ Bahre gunge andhe to wo phir aane wale nahi.

▶Tafseer-
1⃣8⃣ Hidayat ke badle gumrahi khareedne waloñ ki ye doosri tamseel hai ki jaise barish zameen ki hayaat ka sabab hoti hai aur uske saath khaufnaak taarikiya aur muheeb garaz aur chamak hoti hai. Issi tarah Quraan wa Islaam Quloob ki hayaat ka sabab hai aur zikre kufr wa shirk wa nifaak zulmat ke mushabeh jaise taariqi rahro ki manzil tak pahuchne se maane’a hoti hai aise hi kufr wa nifaak rahyaabi se maane’a hai aur waeedaat garaz ke aur hujje bayyana chamak se mushabeh hai. Shaane Nuzool munafiqo mein se do aadmi Huzoor ﷺ ke paas se mushrikeen ki taraf bhaage, raah mein yahi barish aayi jiska aayat mein zikr hai usme shiddat ki garaz, kadak aur chamak lagte jab andheri hoti andhe reh jaate , aapas  mein kehne lage, Khuda Khair se subah kare to Huzoor ﷺ khidmat mein haazir ho kar apne haath Huzoor ﷺ ke daste aqdas mein de, chunanche unhone aise hi kiya aur Islam par saabit qadam rahe. Unke haal ko Allah Ta’ala ne munafiqeen ke liye misaal ( kahawat) banaya jo majlis shareef mein haazir hote to kaano mein ungliya thoos lete ki kahi Huzoor ﷺ ka kalaam unme asar na kar jaye. Jisse mar hi jaaye aur jab unke maal wa awlaad zyada hote aur futuh wa ganeemat milti to bijli ki chamak waalo ki tarah chalet aur kahte ki ab to deene Muhammadi  saccha hai aur jab maal wa awlaad halaq hote aur koi bala aati to barish ki andheriyo mein thithak rehne walo ki tarah kahte ki ye musibate isi deen ki wajah se hai aur Islaam se palat jaate.
▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


AYE MOMINO HUZOOR ﷺ KI BAAT SUNLO AISE LOGO SE BACH KE RAHO
JO LAGTE HAI BHALE WOH HOTE NAHI PADHO GAUR SE KYA FARMATE HAI HUMARE NABI ﷺ
 

0 comments:

Post a Comment