Thursday, March 24, 2016

Habeeb e Khuda MuhammeduRasoolAllah ﷺ Imam ul Ambiya #612

SHARE
Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ Imam ul Ambiya #612.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Sab se pehle Huzoor ﷺ ne abu lahab ki laundi Suvaiba ka dudh nosh farmaya phir apni walida majida Hazrate Aamina رضي الله عنها ke dudh se sairab hote rahe phir Hazrate Halima Sadiya رضي الله عنها Aapko apne saath le gayi aur apne qabile mein rakh kar Aapko dudh pilane lagi aur wahiñ Aapka dudh peene ka zamana guzra.

▶ Yeh Khudavande Quddus ka fazle azeem hi tha jo Hazrate Halima رضي الله عنها ki soyi huwi kismat bedar huwi aur Sarwar Kainaat ﷺ unki aagosh mein aa gaye apne khaime mein jabh dudh pilane baithi to Barkaat e Nabuvvat ka zahoor shuru ho gaya.

▶ Allah ﷻ ki shaan dekhiye Hazrate Halima رضي الله عنها ke mubarak pistan mein iss qadar dudh utra ke Rehmat e Aalam ﷺ ne bhi aur Aapke razaee bhai ne bhi khoob shikam shair ho kar dudh piya aur dono aaram se so gaye idhar ouñthni ko dekha to uske thhan dudh se bhar gaye they.

▶ Hazrate Halima رضي الله عنها ke shohar, Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ki yeh Barkate dekh kar hairan reh gaya aur kehne laga ki Halima tum bada hi mubarak baccha laayi ho Hazrate Halima رضي الله عنها ne kaha ki wakayi mujhe bhi yahi umeed hai ki yeh nihayat hi baa barkat baccha hai aur Khuda ki Rehmat ban kar hum ko mila hai.

▶ Ek roz Sarkar e Do Aalam ﷺ ne Hazrate Halima رضي الله عنها se puche mere doosre bhai bahen din bhar nazar nahi aate? Hazrate Halima رضي الله عنها ne kaha yeh log bakriya charane jaate hai yeh sun kar Huzoor ﷺ ne farmaya madre meharban aap mujhe bhi mere bhai baheno ke saath bheja kijiye chuñanche aap ke israr se majboor ho kar apne baccho ke saath chara-gaah jaane ki ijazat de di aur aap rozana jahañ Hazrate Halima رضي الله عنها ki bakriya charti thi wahañ tashreef le jaate aur bakriya charah-gaho mein le ja kar dekh bhal karna jo tamam Ambiya aur Rasooloñ ki Sunnat hai Aapne apne amal se bachpan hi mein Apni khaslate Nabuvvat ka izhar farma diya.

0 comments:

Post a Comment