Thursday, March 24, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #612

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #612.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 274.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Wo jo apne maal khairat karte hai raat mein aur din mein chhupe aur zaahir unke liye unka neg hai unke Rab ke paas unko na kuch andesha ho na kuchh gamm.

▶ Tafseer
▶ Yaani raahe Khuda mein kharch karne ka nihayat shauk rakhte hai aur har haal mein kharch karte rehte hai. Shaane Nuzool yeh Aayat Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ke haq mein naazil huwi jabh ki Aapne raahe Khuda mein 40,000 deenar kharch kiye the 10,000 raat mein aur 10,000 din mein aur 10,000 poshida aur 10,000 zaahir ek qaul ye hai ki yeh Aayat Hazrate Ali murtaza رضي الله عنه ke haq mein naazil huwi jabh ki Aapke paas faqat 4 dirham the aur kuch na tha aur Aapne un chaaroñ ko khairat kar diya. Ek raat mein ek din mein ek poshida ek ko zaahir.
▶ Fayeda -Aayate kareema mein nafqa e lail ko nafqa e nahaar par aur nafqa e sirr ko nafqa e ailaniya par muqaddam farmaya gaya isme ishara hai ki chhupa kar dena zaahir karke dene se afzal hai.

0 comments:

Post a Comment