Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ Imam ul Ambiya #614.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Huzoor Rehmatulil Aalameen ﷺ ka laqab "Ummi" hai jiska maana hota hai ke Aapne duniya mein kisi insan se likhna padhna nahi sikha yeh Huzoor ﷺ ka bahot hi azeemusshaan mo'ajiza hai ke duniya mein Aapko kisi ne bhi nahi padhaya likhaya magar Khudavande Quddus ne Aapko iss qadr ilm ata farmaya ki Aapka seena awwaleen wa aakhireen ke uloom wa ma'arif ka khazeena ban gaya aur Aap par aisi kitab nazil huwi jiski shaan hai ke uss mein har cheez ka raushan bayan hai.
▶ Maulana Jaami علیہ رحمۃ ورضوان farmate hai jiska mafhoom hai "Yaani mere Mehboob ﷺ na kabhi maqtab mein gaye na likhna sikha magar apne chashm e abru ke ishare se anginat mudarriso ko sabak padha diya"
▶ Zahir hai jiska ustad aur ta'aleem dene wala Khalik e Kainaat ﷻ ho bhala usko kisi aur ustad se ta'aleem hasil karne ki kya zarurat hogi Aala hazrat azemul barkat رضي الله عنه farmate hai.
# Woh dahan jiski har baat Wahee e Khuda,
Chashma e Ilmo Hiqmat pe laakhoñ salaam.
Woh zabaañ jisko sab kun ki kunji kahey,
Uski naafiz hukumat pe laakhoñ salaam.
Friday, March 25, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment