APNE KHATA WAAROÑ KO APNE HI DAAMAN MEIN LO
KAUN KAREY YEH BHALA TUM PE KAROOROÑ DAROOD
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hadees e Mubaraka #614.
6 Rabi Un Noor 1437 Hijri.
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo banda Mujh par Darood bhejta hai to uska Drood uske muñh se tezi se nikalta hai phir na koi khushki na koi samandar na mashriq aur na maghrib magar wo wahañ se guzarta hai aur kehta hai ki Maiñ fulan ibn e fulan ka Darood hu, jo usne Muhammad o Mukhtar ﷺ jo Allah ﷻ ke sab makhlookh se behtar hai par bheja hai pas har shai uspar (Darood padhne wale par) Darood bhejti hai aur uske Darood se ek parinda paida kiya jaata hai jiske sattar (70) hazar baazu hote hai, aur har baazu mein sattar hazar par (wings) hote hai aur har par mein sattar hazar sar hote hai aur har sar mein sattar hazar chehre hote hai aur har chehre mein sattar hazar muñh hote hai aur har muñh mein sattar hazar zabaneiñ aur har zaban sattar hazar lugaat mein Allah ﷻ ki tasbeeh karti hai aur Allah Ta'la unsab ka sawab uske(Darood padhne wale )liye likhta hai.
#Dalail_Ul_Khairat_Shareef
Friday, March 25, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment