Monday, March 14, 2016

Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza khan #602

SHARE
Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan #602.

⏩ Darhi Rakhan yaani chehre par Sunnat e Rasool ﷺ sajana ek bahot azeem sunnat hai aur bahot maqbool wa baa-barkat sunnat hai aur usse naa rakhne (mundwane) par kitni sakht waeed hai jiske talluk se Sayyedi Aala Hazrat علیـــــہ الــــرحمـــــة والـــرضوان tehreer farmate hai,

▶ Woh shakhs jo darhi (beard) katata hai woh Allah o Rasool ﷺ ka nafarman hai.
▶ Darhi katane waale ki soorat yahudiyo aur kaafiron ki soorat jaisi hai.
▶ Woh shakhs Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ke giroh se nahi.
▶ Darhi mundo ki gawahi qaabil e qubool nahi.
▶ Aakhirat mein badnaseeb hoñge subah ho to Allah ﷻ ke gazab mein sham ho to Allah ﷻ ke gazab mein.
▶ Qayamat ke din darhi mundo ki soorat bigadi jayegi.
▶ Darhi mundne wala Allah ﷻ o Rasool ﷺ ke nazdeek maloon hai duniya o akhirat mein maloon hai Allah o Farishte aur insano sabki uss par lanat hai.
▶ Allah darhi mundo par nazre rehmat naa farmaega.
▶ Woh shakhs jannat mein naa jaaeñge jo darhi mundata ho.
▶ Allah unhein jahannum mein dalega.

#Fatwaye Razviya Shareef, Jild 9, Safah 136 ,137.

Aksar dekha gaya hai ke log apni marzi se yaa biwi yaa kisike bolne par darhi mundwate hai unhein ibrat haasil karna chahiye ke darhi mundana kitna sakth hukm rakhta hai.

Allah ﷻ usske pyare Habeeb ﷺ ke sadke hum sab ko neik samajh ki toufeeqe de.

آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

0 comments:

Post a Comment