Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #602.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 266.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kya tum mein koi use pasand rakhega.
2⃣ Ki uske paas ek baag ho khajooroñ aur angooroñ ka.
3⃣ jiske niche nadiya behti uske liye usme har kism ke falo se hai.
▶ Tafseer
1⃣ Yaani koi pasand na karega kyuki yeh baat kisi aaqil ke gawara karne ke kaabil nahi hai.
2⃣ Agarche us baag mein bhi kism kism ke darakht ho magar khajoor aur angoor ka zikr isliye kiya ki ye nafees mewe hai.
3⃣ Woh baag farahat angez wa dilkusha bhi hai aur nafe'a aur umdaa zayedaad bhi.
〰〰 to be contd.
Monday, March 14, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment