Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan #598.
Aala hazrat رضي الله عنه Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ se be panah Ishq o Muhabbat balki Fana'fir Rasool hone ke bawajood woh aise tauheed parast the ke Huzoor ﷺ ke liye bhi sajda e tazeemi ke qaeel naa the.
Apne asha'ar mein Huzoor e Akdas ﷺ se ishq wa aqeedat aur uske saath shari'at ki hifazat ka izhar yuñ farmate hai.
▶ Peshe nazar woh nau bahar, Sajde ko dil hai bekarar,
Rokiye sar ko rokiye, Haa yahi imtehan hai.
Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai Ishq o Muhabbat ka ma'ana Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki farmabardari hai aur farmate hai "Kisi ki tazeem yahi hai ke jis kaam se woh roke usse na kiya jaye"
#Al Malfooz Shareef, Jild 4, Safah 42.
Aala hazrat رضي الله عنه jabh bhi dua maangte to Allah ﷻ se Huzoor ﷺ ki muhabbat maangte aur farmate
"Aisa ghuma de unki vila mein khuda hame,
Dhundha kare par apni khabar ko khabar na ho"
Wednesday, March 9, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment