Wednesday, March 9, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #598

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #598.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 262

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Woh jo Apne maaal Allah ki raah mein kharch karte hai.
2⃣ Phir diye piche na ehsaan rakhe na takleef de unka neg unke Rab ke paas hai aur unhein na kuch andesha ho na kuch gam.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane nuzool yeh Aayat Hazrate Usmane Gani wa Hazrate Abdur Rehman bin Auf رضي الله عنهم ke haq mein naazil huwi Hazrat e Usman رضي الله عنه ne gazwa e Tabuq ke mauke par lashkare Islaam ke liye 1000 ouñth ma'a saaman pesh kiya aur Hazrat e Abdur Rehman bin Auf رضي الله عنه ne 4000 dirham sadqa ke Baargah e Risalat mein haazir kiye aur arz kiya mere paas qul 8000 dirham the, nisf Maiñe apne aur apne ahal wa ayaal ke liye rakh liye aur nisf raahe khuda mein haazir hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya jo tumne diye aur jo tumne rakhe Allah Ta'ala dono mein barkat farmaye.
2⃣ Ehsaan rakhna to yeh hai ki dene ke baad doosre ke saamne izhaar kare ki humne tere saath aise- aise sulook kiye aur usko muqaddar kare aur takleef dena yeh ki usko aur yaad dilaye ki tu naadaar tha muflis tha majboor tha nikamma tha humne teri khabar giri ki ya aur tarah dabaw de ye mamnoo farmaya gaya.

0 comments:

Post a Comment