JAARI HAI AAÑTHON PAHER LANGAR SAKHI DARBAAR KA
FAIZ PAR HAR DAMM HAI DARIYA AHMED E MUKHTAR KA
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hadees e Mubaraka #599.
20 Safar 1437 Hijri.
Hazrat e Anas رضي الله عنه riwayat farmate hai ki Rasoolullah ﷺ Sayyeda Zainab رضي الله عنها se Nikah ke Nausha the to meri walida Umme Sulaim رضي الله عنها ne khajoor, ghee aur paneer ka Halwa banaya aur ek bartan mein rakh ke mujhse kaha ki Anas isko Huzoor ﷺ ki khidmat mein le jaao aur Arz karo Yaa Rasoolullah ﷺ yeh meri maa ne aap ki khidmat mein thoda sa Hadiya bheja hai aur Unhone Aapko Salam arz kiya hai, chunanche maiñ gaya aur maiñe yeh arz ki, Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ise rakh do aur jaao, Hamare paas falañ falañ ko bula laao, jiska Huzoor ﷺ ne naam liya aur unhein bhi jo tumko mile yahañ tak ki jabh maiñ wapas lauta to Huzoor ﷺ ka ghar bhar chuka tha. Hazrat e Anas رضي الله عنه se pucha gaya ki kitni tadaad thi to unhone farmaya takreeban 300 log the. Phir maiñe Huzoor ﷺ ko dekha Aapne halwe par Dast e Pak Rakh kar kuch padha jo Allah Ta'ala ne chaha, phir Huzoor ﷺ Das-Das ko bulane lage woh isme se khane lage. Huzoor ﷺ inse farmate the Allah Ta'ala ka naam lo aur har shakhs apne samne se khaye. Jabh sabh ne kha liya to Huzoor ﷺ ne mujhse farmaya Aye Anas isko uthao, jabh maiñe dekha to mujhko maloom nahi ki jab Rakha tha tab zyada tha ya jabh uthaya tabh zyada tha.
#Bukhari Shareef, Jild 2, Kitabun Nikah.
#Mishkaat Shareef, Baab fil Mo'jezaat, Safah 538.
#Muslim Shareef, Jild 1, Safah 461.
Wednesday, March 9, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment