Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan #599.
▶Sayyedi Aala hazrat رضي الله عنه jabh Hajj aur Ziyarat e Rauza e rasool ﷺ ke liye ghar se nikle tab behtareen kalam likha jiska pehla shair kuch aise hai,
# Shukre Khuda ki aaj ghadi uss safar ki hai,
Jis par nisar jaan falaho jafar ki hai
Madeena Shareef mein Rauza e Rasool ﷺ aur Aapke mimber shareef ke darmiyan jo tukda jis ko Huzoor ﷺ ne jannat ki kiyari farmaya haiñ uss mein jabh Aala hazrat رضي الله عنه ko haazri naseeb huwi to fauran Allah ﷻ ki yaad aayi aur farmaya
"Jannat mein aake naar mein jaata nahi koi,
Shukre khuda navaid nazaato jafar ki hai"
▶ issi tarah Aala hazrat رضي الله عنه ko peerane peer Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه se be panah aqeedat aur muhabbat thi jo aap ke kalam main jagah jagah nazar aati hai
"Tu ghataye se kisi ke na ghata hai na ghate,
Jab badhaye tuje Allah Ta'ala tera"
"Talab ka muÑh to kiss qabil hain Ya Gaus,
Magar tera karam qamil hain Ya Gaus"
▶Ye hai Aala hazrat رضي الله عنه ki sacchi Aashiqui, muhababt Allah ﷻ wa Rasool ﷺ aur Allah ﷻ ke neik muqarrab bando ke liye. Isiliye ek shayar kya khoob likhte hai,
"Jo sunniyat ki shaan hain jo qaum ka imam hain,
Nabi ﷺ ka jo gulam hai ,
Raza ussi ka naam hai.."
Wednesday, March 9, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment